Thursday, March 5, 2009
titlian pakarnay ko door jana parta hai
titlian pakarney ko kitna sehl jana tha...........
khushbuon ko choo lena, barishon kay mousm main
sham ka har ik manzar ghar main qaid kar lena.......
roshni sitaron ki muthion main bhar lena kitna sehl jana tha.....
jugnuon ki baton se phool jaisay angan main roshni si kar lena.............
us ki yad ka chehra kabnak ankhon ki jheel kay gulabon par der tak saja rakhna ....
kitna sehl jana tha..
ae nazar ki khush fehmi is tarah nahen hota.....
titlian pakarnay ko door jana parta hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
Stunning picture, so much detail.
thanks steve
Cool Picture.. Soothing
thanks th33ta
Post a Comment